The status of purdah system in 21st century india
bharat ke rural areas mein purdah system aaj bhi bade paimane par dekhne ko milta hai.Aap logo ko jankar hairani hogi ki ye system rural areas mein chahe shikshit ho ya ashikshit sabhi logo mein dekhne ko milta hai.rural areas mein ladkiya kitna bhi padh likh le lekin jab unka marriage hota hai to we apne sasural mein ghughat se sir(head) dhake huye rahti hai.yadi unke samne husband ka bada bhai aata hai to uske samne aur village ke sabhi bado ke samne head dhake huye hi milti hai.hamne jab logo se baat ki to pata chala ki ye hamare yaha ki tradition hai aur isse pata chalta hai ki bahu kitni sanskari hai.hamein kuchh log bataye ki bade ghar ki bahu ki face to 5-6 years beet jate hai jaan hi nahi apte ki ye kinki wife hai.kitne log to aise hai jab tak unke 2 child na ho jaye tab tak unka face dekhne ko nahi milta ghar se bahar jati to jab apna village se door nahi chali jati tab ghughat dhake hi rahti hai,ghar ke under yadi koi village ka person pahuch gaya to ghughat se apna head dhak leti aur tab tab dhake rahti jab tak wo chale na jaye.but pahle ki apechha aaj bahut sudhar par hai jo person open mind ke hote hai wo is cheej se bachte hai par aisa rural areas mein bahut kam dekhne ko milta hai.main apko batau mere family ke relation ke ek brahman parivar ki baat hai jinke 8 intercollege aur 4 degree college hai we zamidaar the aur aaj bhi hai unke parivar ke name 1000 bigha zameen hoga unke parivar ki women aaj society mein nahi aati.main unke ghar bahut baar gaya death cases mein aur logo se baat ki to we bataye inke ghar ki women kisi ke samne nahi aati.unke ek son IPS officer the abhi jald retire huye 1 years before we aur unki wife apna zameen dekhne jate samaj ke poor logo se baate karte is karan unke all family naraj rahte ki hamare ghar ki koi women three generation se koi apni zameen dekhne nhi gaye ye aur inki beti aur wife sari hade paar karke ye sab kar rahe hai,sabhi log unse naraj rahte.hum sochte hai ki padhe likhe samaj ke log open mind ke ho gaye rsearch se pata chalta kuchh log hai par rural areas mein aaj bhi bade paimane par log is tradition ko follow karte hai.Aaj 2026 chal raha hai jaha technology ki duniya mein log rahte hai,yaha tak facebook,instagram,twitter aur telegram par different - different type ke reels banate aur photo upload karte aur different-different art social media ke madhyam se logo tak pahuchate,phir bhi hamein aaj bhi purdah system rural areas mein dekhne ko milte hai.kafi logo ka man na hai ki city mein ye pratha end ho gayi but uske peechhe ka logic city mein jyadatar log ek dusre se anjan hote koi kahi se akar rah raha hai to koi kahi se but ghar ke under ye baate hoti hai.maine research mein paya kafi log shadi karne ke liye rural area ki girl dhudhte jab unse poochha gaya to we bataye village ki girl sanskari hoti hai aur ghar ko good type se chala sakti .halanki kuchh karan ye bhi hai ki we thoda darti hai aur unka rahan sahan village mein hua rahta hai jisse we zimmedariyon mein pali badi hoti,village ke logo ke nigrani mein bhi rahti hai.par city ki girl open society mein rahti hai we waise hi rahna chahti hai.aaj bhi village mein joint family jyada dekhne ko milta wahi jabki city ki baat ki jaye to nuclear family ki number jyada dekhne ko milta .shayad village ki traditions and rituals aaj bhi logo ko ek dusre se jode huye hai.purdah system jo dheere -dheere kam ho raha hai uska ek karan ye bhi hai ki log ab 25-30-35 years mein shadi kar rahe hai unko jyada time milta hai ki we jyada se jyada shiksha grahan kar sake aur khud ko open mind ka bana sake. pahle logo ke pass itna time nahi milta tha childhood stage mein hi shadi kar di jati thi aur ek dusre ko samajhne ka mauka bhi jyada hota tha jab tak 25 years ki hoti maturity bhi aa jati aur husband ke parivar mein ghul mil jati thi par ab 30-35 ki age mein shadi hoti hai girl ki prem apne mata pita bhai aur bahan ki taraf jyada ho jati hai jab apne sasural jati to utna good se husband ke family ko samajh nahi pati aur apne maa ke yaha se compare karte.nuclear family ki taraf jhukna ek karan ye bhi hai.isliye aaj joint family less amount mein dekhne ko milta hain.but jo bhi india mein aaj bhi purdah system apni jagah banaye huye hai.aur society mein ek sanskari bahu hone ka prateek bana hua hai.
टिप्पणियाँ